Monday, April 19, 2010
piya tora kaisa abhimaan
Kisi mausam ka jhoka tha jo is deewar per latki hui tasveer tirchi ker gaya hai
gaye sawaan me ye deewarein yun seeli nhi thi
na jane is bar kyu in mein seelan aa gayi hai ,dararein pad gayi hain
aur seelan is tarah behti hai jaise khushk ruksaroin per geele aansu chalte hain
ye barish gungunati thi isi chat ke munderoin per
ye ghar ke khidkiyoin ke kaanch per ungliyoin se likh jate the sandeshe
bilakti rehti hai baithi hui ab band roshandano ke peeche
dopherein aisi lagti hain bina mohroin ke khali khane rakhe hian
na koi khelne wala hai bazi aur na koi chaal chalta hai
na din hota hai ab na raat hoti hai...sabhi kuch ruk gaya hai
wo kya mausam ka jhokha tha jo is deewar per latki hui tasveer tirchi ker gaya hai.............
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
6 comments:
well.... beautiful composition...
yo hindi is way too good... some words were hard to comprehend... cant google also.... anyways....awesome flow... keep writing...
@impuregod
these lines hs been extracted from one of the composition of gulzar sahab.....
yeah few words r are hard but vry deep.....
@Mansi... hahaha... sorry.... i wouldn't know...
:-)
will have to keep a tutor to teach me hindi.... :-p
Kisi mausam ka jhoka tha jo is deewar per latki hui tasveer tirchi ker gaya hai
house of lawn suits wholesale
pakistani lawn cotton suits wholesale
Post a Comment